khayaalaat-o-ehsaas | ख़्यालात-ओ-एहसास

  - Sabeela Inam Siddiqui

khayaalaat-o-ehsaas
jo be-saakhta likh diye hain
na jaane vo kab se dil-o-jaan ke andar chhupe the
kisi raaz jaise
qalam-band hone ko bechain the
kai dard uljhe savaalaat
jo safhe pe sajne ko betaab the
vo sab
qalam se mere motiyon ki tarah
ab barsne lage hain
sabhi raqs karne lage hain
meri chashm-e-pur-nam
jo sailaab roke hue hai
sitaare chamakte hain meri palak par
unhen main raqam kar rahi hoon
jo toofaan hai maujzan mere andar
vo armaan vo khwaab
kai la-shuoori mazaameen ban kar
warq-dar-warq jagmagane lage hain
sabhi raqs karne lage hain
aur ab
usi jazb-o-ehsaas ke zer-e-saaya
ghazal phool ban kar mehkati hai
kabhi nazm gaati hai vo geet
ki jo be-khayaali mein takhleeq ho kar
banaati hai rangeen paikar
ye bazm-e-sukhan ko sajaane pe maail
khayaalaat sab raqs karne lage hain
qalam se mere motiyon ki tarah
ab barsne lage hain
sabhi raqs karne lage hain

ख़्यालात-ओ-एहसास
जो बे-साख़्ता लिख दिए हैं
न जाने वो कब से दिल-ओ-जाँ के अंदर छुपे थे
किसी राज़ जैसे
क़लम-बंद होने को बेचैन थे
कई दर्द उलझे सवालात
जो सफ़्हे पे सजने को बेताब थे
वो सब
क़लम से मिरे मोतियों की तरह
अब बरसने लगे हैं
सभी रक़्स करने लगे हैं
मिरी चश्म-ए-पुर-नम
जो सैलाब रोके हुए है
सितारे चमकते हैं मेरी पलक पर
उन्हें मैं रक़म कर रही हूँ
जो तूफ़ान है मौजज़न मेरे अंदर
वो अरमान वो ख़्वाब
कई ला-शुऊरी मज़ामीन बन कर
वरक़-दर-वरक़ जगमगाने लगे हैं
सभी रक़्स करने लगे हैं
और अब
उसी जज़्ब-ओ-एहसास के ज़ेर-ए-साया
ग़ज़ल फूल बन कर महकती है
कभी नज़्म गाती है वो गीत
कि जो बे-ख़याली में तख़्लीक़ हो कर
बनाती है रंगीन पैकर
ये बज़्म-ए-सुख़न को सजाने पे माइल
ख़यालात सब रक़्स करने लगे हैं
क़लम से मिरे मोतियों की तरह
अब बरसने लगे हैं
सभी रक़्स करने लगे हैं

  - Sabeela Inam Siddiqui

Bechaini Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabeela Inam Siddiqui

As you were reading Shayari by Sabeela Inam Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Sabeela Inam Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Bechaini Shayari Shayari