gardish-e-waqt se ladna hai jhagadna hai abhi | गर्दिश-ए-वक़्त से लड़ना है झगड़ना है अभी

  - Sabiha Sadaf

gardish-e-waqt se ladna hai jhagadna hai abhi
chadhte suraj hain hamein aur ubharna hai abhi

hausale doori-e-manzil se na thak jaayen kahi
kitni pur-khaar si raahon se guzarna hai abhi

nok-e-mizgaan pe utar aaye hain aansu aise
abr-e-baaraan ki tarah jaise barsna hai abhi

us ko khwaabon mein basa rakha hai khushboo ki tarah
aur ta'beer talak us ko theharna hai abhi

thokren ham ko sambhalne ka sabq deti hai
baarha tum ko sadaf girna sambhalna hai abhi

गर्दिश-ए-वक़्त से लड़ना है झगड़ना है अभी
चढ़ते सूरज हैं हमें और उभरना है अभी

हौसले दूरी-ए-मंज़िल से न थक जाएँ कहीं
कितनी पुर-ख़ार सी राहों से गुज़रना है अभी

नोक-ए-मिज़्गाँ पे उतर आए हैं आँसू ऐसे
अब्र-ए-बाराँ की तरह जैसे बरसना है अभी

उस को ख़्वाबों में बसा रक्खा है ख़ुशबू की तरह
और ता'बीर तलक उस को ठहरना है अभी

ठोकरें हम को सँभलने का सबक़ देती है
बारहा तुम को 'सदफ़' गिरना सँभलना है अभी

  - Sabiha Sadaf

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabiha Sadaf

As you were reading Shayari by Sabiha Sadaf

Similar Writers

our suggestion based on Sabiha Sadaf

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari