mere ashaar ko mea'ar pe tola jaaye | मेरे अशआर को मेआ'र पे तोला जाए

  - Sabiha Sadaf

mere ashaar ko mea'ar pe tola jaaye
fan ko rakh kar kisi fankaar pe tola jaaye

baat hai taab-e-nazar ki to hata kar parda
shauq-e-deedaar. ko deedaar pe tola jaaye

raas aati hai unhen dhoop jo sehraai hain
kyun unhen saaya-e-deewar pe tola jaaye

nafratein ham ko sahi taul nahin sakti hain
taulna hai to hamein pyaar se tola jaaye

dekhiye husn ka mea'ar na girne paaye
is ko mezaan-e-khareedaar pe tola jaaye

मेरे अशआर को मेआ'र पे तोला जाए
फ़न को रख कर किसी फ़नकार पे तोला जाए

बात है ताब-ए-नज़र की तो हटा कर पर्दा
शौक़-ए-दीदार को दीदार पे तोला जाए

रास आती है उन्हें धूप जो सहराई हैं
क्यों उन्हें साया-ए-दीवार पे तोला जाए

नफ़रतें हम को सही तौल नहीं सकती हैं
तौलना है तो हमें प्यार से तोला जाए

देखिए हुस्न का मेआ'र न गिरने पाए
इस को मीज़ान-ए-ख़रीदार पे तोला जाए

  - Sabiha Sadaf

Hunar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabiha Sadaf

As you were reading Shayari by Sabiha Sadaf

Similar Writers

our suggestion based on Sabiha Sadaf

Similar Moods

As you were reading Hunar Shayari Shayari