sisakti zindagi ko zindagaani kaun deta hai | सिसकती ज़िंदगी को ज़िंदगानी कौन देता है

  - Sabiha Sadaf

sisakti zindagi ko zindagaani kaun deta hai
khizaan ke baad phir se rut-suhaani kaun deta hai

meri aankhon mein seharaaon ka manzar dekhne waalo
tah-e-sehra ye dariya ko rawaani kaun deta hai

nahin mujh se koi shikwa-gilaa to sach batao phir
meri baaton ko rang-e-bad-gumaani kaun deta hai

shah-e-kan'aan ki chaahat mein divaani misr ki malika
usi malika ko phir daur-e-jawaani kaun deta hai

wahan par aab-o-gil se rooh ki tashkeel hoti hai
yahan la kar shoor-e-zindagaani kaun deta hai

mahak uthata har ik gosha-e-sher-o-sukhan tera
sadaf honton ko tere gul-fishaani kaun deta hai

सिसकती ज़िंदगी को ज़िंदगानी कौन देता है
ख़िज़ाँ के बाद फिर से रुत-सुहानी कौन देता है

मिरी आँखों में सहराओं का मंज़र देखने वालो
तह-ए-सहरा ये दरिया को रवानी कौन देता है

नहीं मुझ से कोई शिकवा-गिला तो सच बताओ फिर
मिरी बातों को रंग-ए-बद-गुमानी कौन देता है

शह-ए-कनआँ' की चाहत में दिवानी मिस्र की मलिका
उसी मलिका को फिर दौर-ए-जवानी कौन देता है

वहाँ पर आब-ओ-गिल से रूह की तश्कील होती है
यहाँ ला कर शुऊर-ए-ज़िंदगानी कौन देता है

महक उठता हर इक गोशा-ए-शेर-ओ-सुख़न तेरा
'सदफ़' होंटों को तेरे गुल-फ़िशानी कौन देता है

  - Sabiha Sadaf

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabiha Sadaf

As you were reading Shayari by Sabiha Sadaf

Similar Writers

our suggestion based on Sabiha Sadaf

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari