kahaan kahaan tujhe dhundhun kahaan kahaan dekhoon | कहाँ कहाँ तुझे ढूँडूँ कहाँ कहाँ देखूँ

  - Sabiha Sadaf

kahaan kahaan tujhe dhundhun kahaan kahaan dekhoon
dikhaai kyun nahin deta hai main jahaan dekhoon

fazaa mein phail raha hai ab intishaar bahut
na jaane kitne hi chehre dhuaan dhuaan dekhoon

kisi ke saamne zaahir na hon mere haalaat
khudaaya tujh ko faqat faqat apna raaz-daan dekhoon

zameen pe phir kahi vehshat ne sar ubhaara hai
lahu ke rang mein phir aaj aasmaan dekhoon

ye aarzoo ki mere ishq ko mile meraaj
namaaz-e-ishq padhoon hijr-e-be-karan dekhoon

bahaar aayegi dil ko hai ab yaqeen mere
khayal-o-khwaab mein phoolon ke kaarwaan dekhoon

bani hai dil mein magar rukh se baat hai zaahir
sadaf ke chehre ko main dil ka aaina dekhoon

कहाँ कहाँ तुझे ढूँडूँ कहाँ कहाँ देखूँ
दिखाई क्यों नहीं देता है मैं जहाँ देखूँ

फ़ज़ा में फैल रहा है अब इंतिशार बहुत
न जाने कितने ही चेहरे धुआँ धुआँ देखूँ

किसी के सामने ज़ाहिर न हों मिरे हालात
ख़ुदाया तुझ को फ़क़त फ़क़त अपना राज़-दाँ देखूँ

ज़मीं पे फिर कहीं वहशत ने सर उभारा है
लहू के रंग में फिर आज आसमाँ देखूँ

ये आरज़ू कि मेरे इश्क़ को मिले मेराज
नमाज़-ए-इश्क़ पढ़ूँ हिज्र-ए-बे-कराँ देखूँ

बहार आएगी दिल को है अब यक़ीन मिरे
ख़याल-ओ-ख़्वाब में फूलों के कारवाँ देखूँ

बनी है दिल में मगर रुख़ से बात है ज़ाहिर
'सदफ़' के चेहरे को मैं दिल का आइना देखूँ

  - Sabiha Sadaf

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabiha Sadaf

As you were reading Shayari by Sabiha Sadaf

Similar Writers

our suggestion based on Sabiha Sadaf

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari