ho nazar aisi ki bas dil ki nigaah tak pahunchen
dil mein utre to kabhi haal-e-tabaah tak pahunchen
manzilen un ko mila karti hain aasaani se
teergi chhod ke jo mishal-e-raah tak pahunchen
ab talak jaisi bhi guzri hamein manzoor magar
ab to ban jaaye kuchh aisi ki nibaah tak pahunchen
jeetna ishq ki baazi koi aasaan nahin
ain mumkin hai koi husn gawaah tak pahunchen
tishnagi ko meri ej'aaz ata kar aisa
zer-e-lab pyaas badhe aisi ki aah tak pahunchen
ishq-maslak mein sadaf ek hi dastoor hai bas
zakhm-e-dil had se badhe aur karaah tak pahunchen
हो नज़र ऐसी कि बस दिल की निगाह तक पहुँचे
दिल में उतरे तो कभी हाल-ए-तबाह तक पहुँचे
मंज़िलें उन को मिला करती हैं आसानी से
तीरगी छोड़ के जो मिशअल-ए-राह तक पहुँचे
अब तलक जैसी भी गुज़री हमें मंज़ूर मगर
अब तो बन जाए कुछ ऐसी कि निबाह तक पहुँचे
जीतना इश्क़ की बाज़ी कोई आसान नहीं
ऐन मुमकिन है कोई हुस्न गवाह तक पहुँचे
तिश्नगी को मिरी ए'जाज़ अता कर ऐसा
ज़ेर-ए-लब प्यास बढ़े ऐसी कि आह तक पहुँचे
इश्क़-मस्लक में 'सदफ़' एक ही दस्तूर है बस
ज़ख़्म-ए-दिल हद से बढ़े और कराह तक पहुँचे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabiha Sadaf
our suggestion based on Sabiha Sadaf
As you were reading Ishq Shayari Shayari