kisi zalim ki jeete-ji sana-khwaani nahin hogi | किसी ज़ालिम की जीते-जी सना-ख़्वानी नहीं होगी

  - Sabir Afaqi

kisi zalim ki jeete-ji sana-khwaani nahin hogi
ki daana ho ke mujh se aisi nadaani nahin hogi

dil-e-aabaad ka sa koi shehar aabaad kya hoga
dil-e-veeraan ki si koi veeraani kahaan hogi

adoo se kya gila karna ki vo ma'zoor lagta hai
hamaari qadr-o-qeemat us ne pahchaani nahin hogi

nujoomi mein nahin lekin ye andaaze se kehta hoon
mohabbat to rahegi par ye arzaani nahin hogi

ilaaj-e-asl hai ik aazmooda nuskha duniya mein
pareshaan tum rahoge to pareshaani nahin hogi

khula darwaaza rakh chhodaa hai jab jee chahe aa jaana
ajee ab ham se apne ghar ki darbaani nahin hogi

na tum aaye to saabir kya maza aayega mehfil mein
ghazal-khwaani to hogi par gul-afshaani nahin hogi

किसी ज़ालिम की जीते-जी सना-ख़्वानी नहीं होगी
कि दाना हो के मुझ से ऐसी नादानी नहीं होगी

दिल-ए-आबाद का सा कोई शहर आबाद क्या होगा
दिल-ए-वीरान की सी कोई वीरानी कहाँ होगी

अदू से क्या गिला करना कि वो मा'ज़ूर लगता है
हमारी क़द्र-ओ-क़ीमत उस ने पहचानी नहीं होगी

नुजूमी में नहीं लेकिन ये अंदाज़े से कहता हूँ
मोहब्बत तो रहेगी पर ये अर्ज़ानी नहीं होगी

इलाज-ए-अस्ल है इक आज़मूदा नुस्ख़ा दुनिया में
परेशाँ तुम रहोगे तो परेशानी नहीं होगी

खुला दरवाज़ा रख छोड़ा है जब जी चाहे आ जाना
अजी अब हम से अपने घर की दरबानी नहीं होगी

न तुम आए तो 'साबिर' क्या मज़ा आएगा महफ़िल में
ग़ज़ल-ख़्वानी तो होगी पर गुल-अफ़्शानी नहीं होगी

  - Sabir Afaqi

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabir Afaqi

As you were reading Shayari by Sabir Afaqi

Similar Writers

our suggestion based on Sabir Afaqi

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari