takhleeq ka andaaz nikaal aur tarah ka
penga koi ab chaak pe daal aur tarah ka
dil honge dilon mein koi dhadkan nahin hogi
insaan pe aana hai zawaal aur tarah ka
aflaak ki mash'al se andhere na mitenge
suraj koi dharti se uchaal aur tarah ka
muddat se mere nutq-o-takhayyul mein thani hai
lafz aur tarah ke hain khayal aur tarah ka
vo door se email pe kar lete hain baatein
hijr aur tarah ka hai visaal aur tarah ka
duniya ki sabhi aankhen hain us aankh pe hairaan
ab dasht mein aaya hai ghazaal aur tarah ka
qeemat bhi koi poochne aata nahin saabir
dookaan mein daala hai jo maal aur tarah ka
तख़्लीक़ का अंदाज़ निकाल और तरह का
पेङ़ा कोई अब चाक पे डाल और तरह का
दिल होंगे दिलों में कोई धड़कन नहीं होगी
इंसान पे आना है ज़वाल और तरह का
अफ़्लाक की मशअ'ल से अंधेरे न मिटेंगे
सूरज कोई धरती से उछाल और तरह का
मुद्दत से मिरे नुत्क़-ओ-तख़य्युल में ठनी है
लफ़्ज़ और तरह के हैं ख़याल और तरह का
वो दूर से ईमेल पे कर लेते हैं बातें
हिज्र और तरह का है विसाल और तरह का
दुनिया की सभी आँखें हैं उस आँख पे हैराँ
अब दश्त में आया है ग़ज़ाल और तरह का
क़ीमत भी कोई पूछने आता नहीं 'साबिर'
दूकान में डाला है जो माल और तरह का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabir Afaqi
our suggestion based on Sabir Afaqi
As you were reading Khyaal Shayari Shayari