na kisi mein nazar aayi ye karaamat mujh ko
warna kyun saompte duniya ki imaamat mujh ko
ek muddat se mujhe dhundh rahe the ahbaab
ab mila hoon to na chhodenge salaamat mujh ko
tu agar mera khuda hai to mere paas bhi aa
door aflaak se de aur sada mat mujh ko
in azaabon se bada aur kahaan koi azaab
sahal lagta hai bahut khauf-e-qayaamat mujh ko
roz dharti wahi dekhoon wahi gardoon dekhoon
zahar lagti hai ye aalam ki qadamat mujh ko
jaane kyun baithne deta nahin saabir hargiz
ek be-naam sa ehsaas-e-nadaamat mujh ko
न किसी में नज़र आई ये करामत मुझ को
वर्ना क्यों सौंपते दुनिया की इमामत मुझ को
एक मुद्दत से मुझे ढूँड रहे थे अहबाब
अब मिला हूँ तो न छोड़ेंगे सलामत मुझ को
तू अगर मेरा ख़ुदा है तो मिरे पास भी आ
दूर अफ़्लाक से दे और सदा मत मुझ को
इन अज़ाबों से बड़ा और कहाँ कोई अज़ाब
सहल लगता है बहुत ख़ौफ़-ए-क़यामत मुझ को
रोज़ धरती वही देखूँ वही गर्दूं देखूँ
ज़हर लगती है ये आलम की क़दामत मुझ को
जाने क्यों बैठने देता नहीं 'साबिर' हरगिज़
एक बे-नाम सा एहसास-ए-नदामत मुझ को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabir Afaqi
our suggestion based on Sabir Afaqi
As you were reading Nigaah Shayari Shayari