akheer-e-shab sard raakh choolhe ki jhaad laayein | अख़ीर-ए-शब सर्द राख चूल्हे की झाड़ लाएँ

  - Sabir

akheer-e-shab sard raakh choolhe ki jhaad laayein
tumhaari yaadon ke aaine phir se jagmagaaen

gali ke nukkad par ab nahin hai vo shor faila
bhalaai is mein hai zaa'iqe ham bhi bhool jaayen

rakhe rakhe ho gaye purane tamaam rishte
kahaan kisi ajnabi se rishta naya banaayein

vo hasi aankhen jalaae deti hain jaan hamaari
nawaah-e-jaan mein ghubaar-e-aah-o-buka udaayein

hamaari sab laghzishein hain mahfooz diary mein
tabhi to hain muddai ki kam kam mili sazaayein

अख़ीर-ए-शब सर्द राख चूल्हे की झाड़ लाएँ
तुम्हारी यादों के आइने फिर से जगमगाएँ

गली के नुक्कड़ पर अब नहीं है वो शोर फैला
भलाई इस में है ज़ाइक़े हम भी भूल जाएँ

रखे रखे हो गए पुराने तमाम रिश्ते
कहाँ किसी अजनबी से रिश्ता नया बनाएँ

वो हँसी आँखें जलाए देती हैं जाँ हमारी
नवाह-ए-जाँ में ग़ुबार-ए-आह-ओ-बुका उड़ाएँ

हमारी सब लग़्ज़िशें हैं महफ़ूज़ डाइरी में
तभी तो हैं मुद्दई कि कम कम मिली सज़ाएँ

  - Sabir

Romantic Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabir

As you were reading Shayari by Sabir

Similar Writers

our suggestion based on Sabir

Similar Moods

As you were reading Romantic Shayari Shayari