aahista boliyega tamasha khada na ho | आहिस्ता बोलिएगा तमाशा खड़ा न हो

  - Sabir

aahista boliyega tamasha khada na ho
bairoon-e-khwaab koi hamein sun raha na ho

deewarein uth gai na hon dast-e-junoon mein
ram-khurda vo ghazaal kahi gum-shuda na ho

rakht-e-safar mein baandh len pur-shor kuchh bhanwar
dariya hai pur-sukoon safar be-maza na ho

yun to vo ek aam sa patthar hai meel ka
lekin wahan se aage agar raasta na ho

masjid pukaarti rahi hayya-allal-falaah
jaise hamaara apna koi falsafa na ho

ham kaat denge umr ki zanjeer ek din
ham-zaad karb-e-deed se shaayad rihaa na ho

ik chaand mujh ko taakta rehta hai in dinon
jaise sivaae mere koi aaina na ho

hans hans ke us se baatein kiye ja rahe ho tum
saabir vo dil mein aur hi kuchh sochta na ho

आहिस्ता बोलिएगा तमाशा खड़ा न हो
बैरून-ए-ख़्वाब कोई हमें सुन रहा न हो

दीवारें उठ गई न हों दश्त-ए-जुनून में
रम-ख़ूर्दा वो ग़ज़ाल कहीं गुम-शुदा न हो

रख़्त-ए-सफ़र में बाँध लें पुर-शोर कुछ भँवर
दरिया है पुर-सुकून सफ़र बे-मज़ा न हो

यूँ तो वो एक आम सा पत्थर है मील का
लेकिन वहाँ से आगे अगर रास्ता न हो

मस्जिद पुकारती रही हय्या-अलल-फ़लाह
जैसे हमारा अपना कोई फ़ल्सफ़ा न हो

हम काट देंगे उम्र की ज़ंजीर एक दिन
हम-ज़ाद कर्ब-ए-दीद से शायद रिहा न हो

इक चाँद मुझ को ताकता रहता है इन दिनों
जैसे सिवाए मेरे कोई आईना न हो

हँस हँस के उस से बातें किए जा रहे हो तुम
'साबिर' वो दिल में और ही कुछ सोचता न हो

  - Sabir

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabir

As you were reading Shayari by Sabir

Similar Writers

our suggestion based on Sabir

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari