naya suraj naya dariya nayi kashti banaate hain | नया सूरज नया दरिया नई कश्ती बनाते हैं - Sabir

naya suraj naya dariya nayi kashti banaate hain
nayi tasveer mein duniya zara mailee banaate hain

zara sa kyoot kar dete hain andeshon ke bhooton ko
magar ummeed ki pariyaan zara agli banaate hain

mukammal soch lete hain chalo is baar phir tujh ko
chalo is baar bhi soorat tiri aadhi banaate hain

yaqeeni baat hai baatin ki taarikee na kam hogi
tasalli ke liye zaahir ko nooraani banaate hain

jahaan khwaabon ka kambal odh kar soti hain aawaazen
wahin raaton mein kuchh deewane khaamoshi banaate hain

vo kankar fenkte hain jheel mein kya soch kar saabir
fana karte hain khud ko ya ki laa-saani banaate hain

नया सूरज नया दरिया नई कश्ती बनाते हैं
नई तस्वीर में दुनिया ज़रा मैली बनाते हैं

ज़रा सा क्यूट कर देते हैं अंदेशों के भूतों को
मगर उम्मीद की परियाँ ज़रा अगली बनाते हैं

मुकम्मल सोच लेते हैं चलो इस बार फिर तुझ को
चलो इस बार भी सूरत तिरी आधी बनाते हैं

यक़ीनी बात है बातिन की तारीकी न कम होगी
तसल्ली के लिए ज़ाहिर को नूरानी बनाते हैं

जहाँ ख़्वाबों का कम्बल ओढ़ कर सोती हैं आवाज़ें
वहीं रातों में कुछ दीवाने ख़ामोशी बनाते हैं

वो कंकर फेंकते हैं झील में क्या सोच कर 'साबिर'
फ़ना करते हैं ख़ुद को या कि ला-सानी बनाते हैं

- Sabir
0 Likes

Sooraj Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabir

As you were reading Shayari by Sabir

Similar Writers

our suggestion based on Sabir

Similar Moods

As you were reading Sooraj Shayari Shayari