khoobiyo ko maskh kar ke aib jaisa kar diya | ख़ूबियों को मस्ख़ कर के ऐब जैसा कर दिया - Sabir

khoobiyo ko maskh kar ke aib jaisa kar diya
ham ne yun aibon ki aabaadi ko doonaa kar diya

tay to ye tha har badi ki intiha tak jaayenge
be-khayaali mein ye kaisa kaam achha kar diya

mujh se kal mehfil mein us ne muskuraa kar baat ki
vo mera ho hi nahin saka ye pakka kar diya

chilchilaati-dhoop thi lekin tha saaya ham-qadam
saaebaan ki chaanv ne mujh ko akela kar diya

main bhi ab kuchh kuchh samajhne lag gaya hoon ai tabeeb
dard ne seene mein uth kar kya ishaara kar diya

ख़ूबियों को मस्ख़ कर के ऐब जैसा कर दिया
हम ने यूँ ऐबों की आबादी को दूना कर दिया

तय तो ये था हर बदी की इंतिहा तक जाएँगे
बे-ख़याली में ये कैसा काम अच्छा कर दिया

मुझ से कल महफ़िल में उस ने मुस्कुरा कर बात की
वो मिरा हो ही नहीं सकता ये पक्का कर दिया

चिलचिलाती-धूप थी लेकिन था साया हम-क़दम
साएबाँ की छाँव ने मुझ को अकेला कर दिया

मैं भी अब कुछ कुछ समझने लग गया हूँ ऐ तबीब
दर्द ने सीने में उठ कर क्या इशारा कर दिया

- Sabir
0 Likes

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabir

As you were reading Shayari by Sabir

Similar Writers

our suggestion based on Sabir

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari