mustaqar ki khwaahish mein muntashir se rahte hain
be-kinaar dariya mein lafz lafz bahte hain
sab ult-palat di hain sarf-o-nahv-e-deerina
zakham zakham jeete hain lamha lamha sahte hain
yaar log kahte hain khwaab ka mazaar us ko
az-rah-e-rivaayat ham khwaab-gaah kahte hain
raushni ki kirnen hain ya lahu andhere ka
surkh-rang qatre jo rozanon se bahte hain
ye kya bad-mazaqi hai gard jhaadte kyun ho
is makaan-e-khasta mein yaar ham bhi rahte hain
मुस्तक़र की ख़्वाहिश में मुंतशिर से रहते हैं
बे-कनार दरिया में लफ़्ज़ लफ़्ज़ बहते हैं
सब उलट-पलट दी हैं सर्फ़-ओ-नहव-ए-देरीना
ज़ख़्म ज़ख़्म जीते हैं लम्हा लम्हा सहते हैं
यार लोग कहते हैं ख़्वाब का मज़ार उस को
अज़-रह-ए-रिवायत हम ख़्वाब-गाह कहते हैं
रौशनी की किरनें हैं या लहू अंधेरे का
सुर्ख़-रंग क़तरे जो रौज़नों से बहते हैं
ये क्या बद-मज़ाक़ी है गर्द झाड़ते क्यूँ हो
इस मकान-ए-ख़स्ता में यार हम भी रहते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabir
our suggestion based on Sabir
As you were reading Khwaahish Shayari Shayari