mujhe qaraar bhanwar mein use kinaare mein | मुझे क़रार भँवर में उसे किनारे में

  - Sabir

mujhe qaraar bhanwar mein use kinaare mein
so kitni door talak bahte ek dhaare mein

mujhe bhi pad gai aadat darogh-goi ki
vo mujh se poochta rehta tha mere baare mein

ye kaarobaar-e-mohabbat hai tum na samjhoge
hua hai mujh ko bahut faaeda khasaare mein

kahaan raha vo gumaan ab ki hain zamaana-shanaas
uljh ke rah gaye zoo-ma'ni ik ishaare mein

ajeeb baat sahi khud ko daad-e-fan dena
kisi ke lams ki khushboo hai istiaare mein

मुझे क़रार भँवर में उसे किनारे में
सो कितनी दूर तलक बहते एक धारे में

मुझे भी पड़ गई आदत दारोग़-गोई की
वो मुझ से पूछता रहता था मेरे बारे में

ये कारोबार-ए-मोहब्बत है तुम न समझोगे
हुआ है मुझ को बहुत फ़ाएदा ख़सारे में

कहाँ रहा वो गुमान अब कि हैं ज़माना-शनास
उलझ के रह गए ज़ू-मअ'नी इक इशारे में

अजीब बात सही ख़ुद को दाद-ए-फ़न देना
किसी के लम्स की ख़ुशबू है इस्तिआरे में

  - Sabir

Ishaara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabir

As you were reading Shayari by Sabir

Similar Writers

our suggestion based on Sabir

Similar Moods

As you were reading Ishaara Shayari Shayari