saint kar eimaan kuchh din aur rakhna hai abhi | सैंत कर ईमान कुछ दिन और रखना है अभी - Sabir

saint kar eimaan kuchh din aur rakhna hai abhi
aaj-kal bazaar mein mandi hai sasta hai abhi

darmiyaan jo fasla rakha hua sa hai abhi
ik yahi us tak pahunchne ka wasila hai abhi

yun hi sab mil baithe hain saabeqoonal-avvaloon
dasht mein jaari hamaara aana jaana hai abhi

muskurana ek fan hai aur main nau-mashq hoon
phir bhi kya kam hai use bechain dekha hai abhi

qumqumon ki raushni mein bhi nazar aata hai chaand
gaav mein mera puraana ik shanaasa hai abhi

jaa-b-jaa bikhre pade hain saare azaa khwaab ke
zer-e-mizgaan kis ne ye shab-khoon maara hai abhi

kyun na ghad len kuchh manaqib aur fazaail habs ke
jab isee andhe kuein mein ham ko jeena hai abhi

सैंत कर ईमान कुछ दिन और रखना है अभी
आज-कल बाज़ार में मंदी है सस्ता है अभी

दरमियाँ जो फ़ासला रक्खा हुआ सा है अभी
इक यही उस तक पहुँचने का वसीला है अभी

यूँ ही सब मिल बैठते हैं साबेक़ूनल-अव्वलून
दश्त में जारी हमारा आना जाना है अभी

मुस्कुराना एक फ़न है और मैं नौ-मश्क़ हूँ
फिर भी क्या कम है उसे बेचैन देखा है अभी

क़ुमक़ुमों की रौशनी में भी नज़र आता है चाँद
गाँव में मेरा पुराना इक शनासा है अभी

जा-ब-जा बिखरे पड़े हैं सारे आज़ा ख़्वाब के
ज़ेर-ए-मिज़्गाँ किस ने ये शब-ख़ून मारा है अभी

क्यूँ न घड़ लें कुछ मनाक़िब और फ़ज़ाएल हब्स के
जब इसी अंधे कुएँ में हम को जीना है अभी

- Sabir
0 Likes

Beqarari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabir

As you were reading Shayari by Sabir

Similar Writers

our suggestion based on Sabir

Similar Moods

As you were reading Beqarari Shayari Shayari