sach yahi hai ki bahut aaj ghin aati hai mujhe
vaise vo shay kabhi matlab rahi bhi hai mujhe
apni tanhaai ko bazaar ghuma laaya hoon
ghar ki chaukhat pe pahunchte hi liptati hai mujhe
tujh se milta hoon to aa jaati hai aankhon mein nami
tu samajhta hai shikaayat ye puraani hai mujhe
us ke shar se main sada maangata rehta hoon panaah
isee duniya se mohabbat bhi bala ki hai mujhe
bas isee wajah se hai us ki zabaan mein luknat
us ko vo baat sunaani hai jo kahni hai mujhe
सच यही है कि बहुत आज घिन आती है मुझे
वैसे वो शय कभी मतलूब रही भी है मुझे
अपनी तन्हाई को बाज़ार घुमा लाया हूँ
घर की चौखट पे पहुँचते ही लिपटती है मुझे
तुझ से मिलता हूँ तो आ जाती है आँखों में नमी
तू समझता है शिकायत ये पुरानी है मुझे
उस के शर से मैं सदा माँगता रहता हूँ पनाह
इसी दुनिया से मोहब्बत भी बला की है मुझे
बस इसी वजह से है उस की ज़बाँ में लुक्नत
उस को वो बात सुनानी है जो कहनी है मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabir
our suggestion based on Sabir
As you were reading Urdu Shayari Shayari