bachi jo zindagi apni bitaai hi nahin hamne
lagi jo aag sapnon ko bujhaai hi nahin hamne
mera bhi naam daulatmand mein shaamil kabhi hota
gira kar jo mile shohrat kamaai hi nahin hamne
dikhaate hi rahe ham umr-bhar sabko khushi apni
mita di jo gai hasti dikhaai hi nahin hamne
jalai hai kisi ki laash jab se haath se apne
rahi tasveer chehre par mitaai hi nahin hamne
bitha li hai udaasi se bhari tasveer is dil mein
kabhi tasveer phir koi lagaaee hi nahin hamne
bacha li zindagi se haar kar ik roz khaamoshi
udaasi hi bachi apni jalai hi nahin hamne
ghazal mein umr bhar tum khoon hi likhte rahe saagar
ghazal vo aakhiri unko sunaai hi nahin hamne
बची जो ज़िंदगी अपनी बिताई ही नहीं हमने
लगी जो आग सपनों को बुझाई ही नहीं हमने
मिरा भी नाम दौलतमंद में शामिल कभी होता
गिरा कर जो मिले शोहरत कमाई ही नहीं हमने
दिखाते ही रहे हम 'उम्र-भर सबको ख़ुशी अपनी
मिटा दी जो गई हस्ती दिखाई ही नहीं हमने
जलाई है किसी की लाश जब से हाथ से अपने
रही तस्वीर चेहरे पर मिटाई ही नहीं हमने
बिठा ली है उदासी से भरी तस्वीर इस दिल में
कभी तस्वीर फिर कोई लगाई ही नहीं हमने
बचा ली ज़िंदगी से हार कर इक रोज़ ख़ामोशी
उदासी ही बची अपनी जलाई ही नहीं हमने
ग़ज़ल में उम्र भर तुम ख़ून ही लिखते रहे सागर
ग़ज़ल वो आख़िरी उनको सुनाई ही नहीं हमने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading Dil Shayari Shayari