ek uski hi muhabbat hai wagarana kya hai | एक उसकी ही मुहब्बत है वगरना क्या है

  - Sagar Sahab Badayuni

ek uski hi muhabbat hai wagarana kya hai
paas itni bhi nahin jitna tumhein lagta hai

pyaar vaise to mujhe kam na kiya kaafir ne
bas mere kehne par sindoor nahin bharta hai

mujhko bas dekhne waale hi bata sakte hain
aankh se khoon mera rishta nahin bahta hai

saath kehne ko to chalta hai zamaana saara
saath dekho jo agar koii nahin chalta hai

itna maahir hai vo apni hi adaakaari mein
khud mein rota hai magar hans ke ghazal kehta hai

main vo hasti hoon jise loot liya jaata hai
dekh kar mujhko tumhein aisa nahin lagta hai

ek sufi hai jo dariya ke kinaare mujhko
roz milta hai mujhe khaas kaha karta hai

एक उसकी ही मुहब्बत है वगरना क्या है
पास इतनी भी नहीं जितना तुम्हें लगता है

प्यार वैसे तो मुझे कम न किया काफ़िर ने
बस मिरे कहने पर सिंदूर नहीं भरता है

मुझको बस देखने वाले ही बता सकते हैं
आँख से ख़ून मिरा रिसता नहीं बहता है

साथ कहने को तो चलता है ज़माना सारा
साथ देखो जो अगर कोई नहीं चलता है

इतना माहिर है वो अपनी ही अदाकारी में
ख़ुद में रोता है मगर हँस के ग़ज़ल कहता है

मैं वो हस्ती हूँ जिसे लूट लिया जाता है
देख कर मुझको तुम्हें ऐसा नहीं लगता है

एक सूफ़ी है जो दरिया के किनारे मुझको
रोज़ मिलता है मुझे ख़ास कहा करता है

  - Sagar Sahab Badayuni

Nadii Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading Nadii Shayari Shayari