khuda se khair kar mera ki har ik zakhm bhar jaaye | ख़ुदा से ख़ैर कर मेरा कि हर इक ज़ख़्म भर जाए - Sagar Sahab Badayuni

khuda se khair kar mera ki har ik zakhm bhar jaaye
kahin aisa na ho dil toot kar mera bikhar jaaye

guzar jaaye kisi bhi haal mein bas zindagi apni
kahin aisa na ho andar jo hai had se guzar jaaye

kabhi ik baar rakkha tha khushi se haath zakhamon par
tabhi se zakhm dikhte hain jahaan par bhi nazar jaaye

udaasi is tarah mujhmein tadapati rahti hai jaise
kisi hansati hui aurat ka pati be-maut mar jaaye

khabar chaaho to usko bhi kara do vo chala aaye
ho sakta hai chala aaye vo marne kii khabar jaaye

ख़ुदा से ख़ैर कर मेरा कि हर इक ज़ख़्म भर जाए
कहीं ऐसा न हो दिल टूट कर मेरा बिखर जाए

गुज़र जाए किसी भी हाल में बस ज़िंदगी अपनी
कहीं ऐसा न हो अन्दर जो है हद से गुज़र जाए

कभी इक बार रक्खा था ख़ुशी से हाथ ज़ख़्मों पर
तभी से ज़ख़्म दिखते हैं जहाँ पर भी नज़र जाए

उदासी इस तरह मुझमें तड़पती रहती है जैसे
किसी हँसती हुई औरत का पति बे-मौत मर जाए

ख़बर चाहो तो उसको भी करा दो वो चला आए
हो सकता है चला आए वो मरने की ख़बर जाए

- Sagar Sahab Badayuni
2 Likes

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari