raatein guzri tanhaa tanhaa din guzra kaanton mein | रातें गुज़री तन्हा तन्हा दिन गुज़रा काँटों में

  - Sagar Sahab Badayuni

raatein guzri tanhaa tanhaa din guzra kaanton mein
tab jaakar aaraam mila mujhko mere chhaalon mein

ham jo dale firte hain unki baahon ka fanda
maut hamein aani hai ik din unki hi baahon mein

jab se uska khwaab meri in aankhon se utara hai
tab se ye aalam hai khwaab nahin hai in aankhon mein

main to apne gham tak baant nahin paaya khud se phir
dil ye kaise de baitha ik paagal ke haathon mein

neend se to ab samjho apna bas itna rishta hai
dard badhe to phir main rone lagta hoon raaton mein

mere andar kii aadat ab meri hi dushman hai
hanskar jo bhi milta hai aa jaata hoon baaton mein

pehle uski yaadein to jeena mushkil karti theen
kya jaane ab vo kisko aati hogi yaadon mein

hamko ab ik dooze ke khaatir jeena marna hai
ab vo jaane kis kis ye kahti hogi vaadon mein

रातें गुज़री तन्हा तन्हा दिन गुज़रा काँटों में
तब जाकर आराम मिला मुझको मेरे छालों में

हम जो डाले फिरते हैं उनकी बाहों का फंदा
मौत हमें आनी है इक दिन उनकी ही बाहों में

जब से उसका ख़्वाब मिरी इन आँखों से उतरा है
तब से ये आलम है ख़्वाब नहीं है इन आँखों में

मैं तो अपने ग़म तक बाँट नहीं पाया ख़ुद से फिर
दिल ये कैसे दे बैठा इक पागल के हाथों में

नींद से तो अब समझो अपना बस इतना रिश्ता है
दर्द बढ़े तो फिर मैं रोने लगता हूँ रातों में

मेरे अन्दर की आदत अब मेरी ही दुश्मन है
हँसकर जो भी मिलता है आ जाता हूँ बातों में

पहले उसकी यादें तो जीना मुश्किल करती थीं
क्या जाने अब वो किसको आती होगी यादों में

हमको अब इक दूज़े के ख़ातिर जीना मरना है
अब वो जाने किस किस ये कहती होगी वादों में

  - Sagar Sahab Badayuni

Pagal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading Pagal Shayari Shayari