ek taraf hai ye dil bhi khanjar hai ek taraf
zakham hazaaron hain mujhmein ki asar hai ek taraf
is khaali jungle mein kis se rasta poochhun main
saare jungle ujde ujde ghar hai ek taraf
kaun bhala jaakar sehra ki pyaas bujhaayega
sukhe hain sab dariya bhi saagar hai ek taraf
kaun parindon ki khaatir ye bojh uthaaega
saare jungle khaak hue hai shajar hai ek taraf
एक तरफ़ है ये दिल भी ख़ंजर है एक तरफ़
ज़ख़्म हज़ारों हैं मुझमें कि असर है एक तरफ़
इस ख़ाली जंगल में किस से रस्ता पूछूॅं मैं
सारे जंगल उजड़े उजड़े घर है एक तरफ़
कौन भला जाकर सहरा की प्यास बुझाएगा
सूखे हैं सब दरिया भी सागर है एक तरफ़
कौन परिंदों की ख़ातिर ये बोझ उठाएगा
सारे जंगल ख़ाक हुए है शजर है एक तरफ़
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shivam Raahi Badayuni
our suggestion based on Shivam Raahi Badayuni
As you were reading Ghar Shayari Shayari