main ne zameen ki taptee ragon pe haath dhare hain
main ne zameen ki taptee ragon se
tapte lahu ko ubalte dekha hai
un raston pe un galiyon pe
patthar jaisi sakht hawa ke
surkh dhamaake dekhe hain
raat ki mutawarrim ghadiyon mein
zard makaanon ke sehnon mein
lahu ko girte dekha hai
qatra qatra qatra
qatra qatra bante bante ek samundar
ik be-paayaan tapta surkh samundar
zard makaanon ki rag rag mein
tapta surkh samundar
un galiyon ki boodhi chaal. pe ifreeton ke hamle
taptee zameen ke saathviin talve tak lehraati andhi cheekhen
kitni hi zalim sadiyon se
andhi cheekhen mere tapte jism ke jalte khaliyon
zard masaamon ke darroon mein bhatk rahi hain
cheekhen mere jism ki ik ik rag mein yoorish karti hain
nafrat ka teekhaa lashkaara jism ko kaatta rehta hai
jis ke andar jism ke baahar
khoon ka andha laava bahta rehta hai
मैं ने ज़मीं की तपती रगों पे हाथ धरे हैं
मैं ने ज़मीं की तपती रगों से
तपते लहू को उबलते देखा है
उन रस्तों पे उन गलियों पे
पत्थर जैसी सख़्त हवा के
सुर्ख़ धमाके देखे हैं
रात की मुतवर्रिम घड़ियों में
ज़र्द मकानों के सेहनों में
लहू को गिरते देखा है
क़तरा क़तरा क़तरा
क़तरा क़तरा बनते बनते एक समुंदर
इक बे-पायाँ तपता सुर्ख़ समुंदर
ज़र्द मकानों की रग रग में
तपता सुर्ख़ समुंदर
उन गलियों की बूढ़ी छाल पे इफ़्रीतों के हमले
तपती ज़मीं के सातवीं तलवे तक लहराती अंधी चीख़ें
कितनी ही ज़ालिम सदियों से
अंधी चीख़ें मेरे तपते जिस्म के जलते ख़लियों
ज़र्द मसामों के दर्रों में भटक रही हैं
चीख़ें मेरे जिस्म की इक इक रग में यूरिश करती हैं
नफ़रत का तीखा लशकारा जिस्म को काटता रहता है
जिस के अंदर जिस्म के बाहर
ख़ून का अंधा लावा बहता रहता है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Tabassum Kashmiri
As you were reading Aawargi Shayari Shayari