raat ke mede mein kaari zahar hai jalta hai jis se tan badan mera
main kab se cheekhta hoon dard se chillataa firta hoon
tashaddud khauf dahshat barbariyat
aur mughalliz raat ki raanon mein shahvat
ek kaala phool banti hai
shahvat jaagti hai ghurti hai surkh aankhon se
vo chehre nochti khaati hai apne tund jabdon se
ye kaisa zahar hai jo phailta jaata hai mede mein
ye kaari zahar hai jo raat ke mede se tapka hai
tashaddud khauf dahshat barbariyat
raat ke kaale sitam-gar siyaah maathe par
nadaamat hi nadaamat hai
रात के मेदे में कारी ज़हर है जलता है जिस से तन बदन मेरा
मैं कब से चीख़ता हूँ दर्द से चिल्लाता फिरता हूँ
तशद्दुद ख़ौफ़ दहशत बरबरियत
और मुग़ल्लिज़ रात की रानों में शहवत
एक काला फूल बनती है
शहवत जागती है घूरती है सुर्ख़ आँखों से
वो चेहरे नोचती खाती है अपने तुंद जबड़ों से
ये कैसा ज़हर है जो फैलता जाता है मेदे में
ये कारी ज़हर है जो रात के मेदे से टपका है
तशद्दुद ख़ौफ़ दहशत बरबरियत
रात के काले सितम-गर सियाह माथे पर
नदामत ही नदामत है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Tabassum Kashmiri
As you were reading Jahar Shayari Shayari