zawaal ke aasmaanon mein ladkhadaate | ज़वाल के आसमानों में लड़खड़ाते

  - Tabassum Kashmiri

zawaal ke aasmaanon mein ladkhadaate
andhere khalaon ki duniyaaon mein mu'alliq hote
andhere shehron ke burjon ki gumnaam faseelon par girte
tashaddud se aabaad insaani bastiyon ke chehron se liptate
aur insaani vujood ki dhajjiyaan dekh kar cheekhte rote
kitne hazaar saal beet gaye hain

kitne hazaar saalon se zawaal ki cheekh'on ko sunte sunte
sa'aaten thak gai hain
sa'aaten az-bas thak gai hain
jali hui ishtihaaon ki qausein
zaicho ke huroof dekhte dekhte dam tod chuki hain
khwahishon ke be-paayaan hujoom
hasraton ki surkh mehraabo'n ke neeche
sadiyon ki dabeez gard ke andar dhansate chale gaye hain
khaakistari ayyaam ki mutawarrim dhool mein
be-ant mutalahto ke vaar sahte sahte
sab kuchh madfoon ho gaya hai
magar ab ye zawaal ki aakhiri cheekh hai
sahilon par parindon ke naye qaafilon ka shor hai
aur baadbaanon pe surkh rangon ki fadfadaahat
gum-gashta shehron ki be-aabaad faseelon ke burjon par
ham zawaal ki aakhiri saa'aton ki
aakhiri hichakiyaan sun rahe hain

ज़वाल के आसमानों में लड़खड़ाते
अँधेरे ख़लाओं की दुनियाओं में मुअ'ल्लक़ होते
अँधेरे शहरों के बुर्जों की गुमनाम फ़सीलों पर गिरते
तशद्दुद से आबाद इंसानी बस्तियों के चेहरों से लिपटते
और इंसानी वजूद की धज्जियाँ देख कर चीख़ते रोते
कितने हज़ार साल बीत गए हैं

कितने हज़ार सालों से ज़वाल की चीख़ों को सुनते सुनते
साअतें थक गई हैं
साअतें अज़-बस थक गई हैं
जली हुई इशतिहाओं की क़ौसें
ज़ाइचों के हुरूफ़ देखते देखते दम तोड़ चुकी हैं
ख़्वाहिशों के बे-पायाँ हुजूम
हसरतों की सुर्ख़ मेहराबों के नीचे
सदियों की दबीज़ गर्द के अंदर धँसते चले गए हैं
ख़ाकिस्तरी अय्याम की मुतवर्रिम धूल में
बे-अंत मुतलाहटों के वार सहते सहते
सब कुछ मदफ़ून हो गया है
मगर अब ये ज़वाल की आख़िरी चीख़ है
साहिलों पर परिंदों के नए क़ाफ़िलों का शोर है
और बादबानों पे सुर्ख़ रंगों की फड़फड़ाहट
गुम-गश्ता शहरों की बे-आबाद फ़सीलों के बुर्जों पर
हम ज़वाल की आख़िरी साअ'तों की
आख़िरी हिचकियाँ सुन रहे हैं

  - Tabassum Kashmiri

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Tabassum Kashmiri

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari