takhtiyan sab utaar di gai hain
mere ghar ka kahi pata hi nahin
reg-e-biryaan pe chal ke aaye hain
paanv mein koi aablaa hi nahin
zakhm-e-dil ko talaash-e-marham thi
aur marham kahi mila hi nahin
ham ne dastak to di bahut lekin
phir koi dar kabhi khula hi nahin
zindagi se kabhi bani na meri
maut par ikhtiyaar tha hi nahin
dhoop bhi qahar ban ke barsi aur
saaebaan ret se bana hi nahin
तख़्तियाँ सब उतार दी गई हैं
मिरे घर का कहीं पता ही नहीं
रेग-ए-बिरयाँ पे चल के आए हैं
पाँव में कोई आबला ही नहीं
ज़ख़्म-ए-दिल को तलाश-ए-मरहम थी
और मरहम कहीं मिला ही नहीं
हम ने दस्तक तो दी बहुत लेकिन
फिर कोई दर कभी खुला ही नहीं
ज़िंदगी से कभी बनी न मिरी
मौत पर इख़्तियार था ही नहीं
धूप भी क़हर बन के बरसी और
साएबाँ रेत से बना ही नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tabinda Sahar Abidi
our suggestion based on Tabinda Sahar Abidi
As you were reading Maut Shayari Shayari