gham waalon mein gam-khwaari hai | ग़म वालों में ग़म-ख़्वारी है

  - Salma Malik

gham waalon mein gam-khwaari hai
dil waalon mein dil daari hai

hanste hanste jo rote hain
kaisi unko azaari hai

unka lahja badla badla
talkh badi ye guftaari hai

ye khushiyaan kitni halki hain
ye gham ka bojha bhari hai

maa-baapu se rishta kaisa
daulat mein hissedaari hai

jeete jee maare hai sabko
ishq badi ik beemaari hai

ye duniya bhi kya duniya hai
ye kaisi duniyaadaari hai

ग़म वालों में ग़म-ख़्वारी है
दिल वालों में दिल दारी है

हँसते हँसते जो रोते हैं
कैसी उनको आज़ारी है

उनका लहजा बदला बदला
तल्ख़ बड़ी ये गुफ़्तारी है

ये ख़ुशियाँ कितनी हल्की हैं
ये ग़म का बोझा भारी है

माँ-बापू से रिश्ता कैसा?
दौलत में हिस्सेदारी है

जीते जी मारे है सबको
इश्क़ बड़ी इक बीमारी है

ये दुनिया भी क्या दुनिया है
ये कैसी दुनियादारी है

  - Salma Malik

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Salma Malik

As you were reading Shayari by Salma Malik

Similar Writers

our suggestion based on Salma Malik

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari