laazmi hai bhool jaao haadson ko | लाज़मी है भूल जाओ हादसों को

  - Salma Malik

laazmi hai bhool jaao haadson ko
hai zaroori raah koi manzilon ko

sirf likhna hi nahin hai farz inka
kuchh kitaaben hain zaroori kaatibon ko

maykashi hai cheez kya ye ham na jaane
jaante hain ham magar in maykashon ko

phir nahin beti maregi jhool kar ke
ik dafa faansi laga do vahshaton ko

kya nahin vo jaante kya hai rihaai
qaid jo sayyaad karte bulbulon ko

zindagi hai cheez kya salma batao
maykashon ko vahshaton ko muflison ko

लाज़मी है भूल जाओ हादसों को
है ज़रूरी राह कोई मंज़िलों को

सिर्फ़ लिखना ही नहीं है फ़र्ज़ इनका
कुछ किताबें हैं ज़रूरी कातिबों को

मयकशी है चीज़ क्या ये हम न जाने
जानते हैं हम मगर इन मयकशों को

फिर नहीं बेटी मरेगी झूल कर के
इक दफ़ा फाँसी लगा दो वहशतों को

क्या नहीं वो जानते क्या है रिहाई
क़ैद जो सय्याद करते बुलबुलों को

ज़िन्दगी है चीज़ क्या 'सलमा' बताओ
मयकशों को वहशतों को मुफ़लिसों को

  - Salma Malik

Aazaadi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Salma Malik

As you were reading Shayari by Salma Malik

Similar Writers

our suggestion based on Salma Malik

Similar Moods

As you were reading Aazaadi Shayari Shayari