ye nahin hai ki mujhko shikaayat nahin
kya karoon jo rahi ab muhabbat nahin
ab adavat nahin ab rifaqat nahin
ab to milti kisi se tabeeyat nahin
der se sher ik zehan mein hai mere
shayari ishq hai ye siyaasat nahin
tu bhale ishq kar yaad rakh ye magar
jism ki ye numaish sharaafat nahin
kyun karein ishq koi haseen jism se
ye to rehta sada khoobsurat nahin
saath gar de sako saath chalna mere
haan magar yun kisi ki inaayat nahin
dard saare hain manzoor salma magar
is muhabbat mein koi bhi tohmat nahin
ये नहीं है कि मुझको शिकायत नहीं
क्या करूँ जो रही अब मुहब्बत नहीं
अब अदावत नहीं अब रिफ़ाक़त नहीं
अब तो मिलती किसी से तबीअत नहीं
देर से शेर इक ज़ेहन में है मिरे
शायरी इश्क़ है ये सियासत नहीं
तू भले इश्क़ कर याद रख ये मगर
जिस्म की ये नुमाइश शराफ़त नहीं
क्यों करें इश्क़ कोई हसीं जिस्म से
ये तो रहता सदा ख़ूबसूरत नहीं
साथ गर दे सको साथ चलना मिरे
हाँ मगर यूँ किसी की इनायत नहीं
दर्द सारे हैं मंज़ूर 'सलमा' मगर
इस मुहब्बत में कोई भी तोहमत नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Salma Malik
our suggestion based on Salma Malik
As you were reading Ulfat Shayari Shayari