aankh se yun dil mein jaana koi tumse seekh jaaye
dil mein ja kar phir na aana koi tumse seekh jaaye
is ada se muskurana koi tumse seekh jaaye
muskuraa kar dil churaana koi tumse seekh jaaye
khwaab mein aa kar jagaana koi tumse seekh jaaye
khwaab se hi phir sulaana koi tumse seekh jaaye
raaz dil ka dil hi jaise bhool baitha ho tumhaara
raaz dil ka yun chhupaana koi tumse seekh jaaye
pyaar karte ho hamein tum munh se bola to nahin yun
aankhon aankhon mein bataana koi tumse seekh jaaye
der se hi milne aana aur phir jaldi bhi jaana
is tarah hamko sataana koi tumse seekh jaaye
ye samajh aata nahin hai kya karein ab kya kahein ham
apni baaton mein fasaana koi tumse seekh jaaye
bolte hain log sab toyaesh ko ye aaj kal se
gham mein bhi yun muskurana koi tumse seekh jaaye
आँख से यूँ दिल में जाना कोई तुमसे सीख जाए
दिल में जा कर फिर न आना कोई तुमसे सीख जाए
इस अदा से मुस्कुराना कोई तुमसे सीख जाए
मुस्कुरा कर दिल चुराना कोई तुमसे सीख जाए
ख़्वाब में आ कर जगाना कोई तुमसे सीख जाए
ख़्वाब से ही फिर सुलाना कोई तुमसे सीख जाए
राज़ दिल का दिल ही जैसे भूल बैठा हो तुम्हारा
राज़ दिल का यूँ छुपाना कोई तुमसे सीख जाए
प्यार करते हो हमें तुम मुँह से बोला तो नहीं यूँ
आँखों आँखों में बताना कोई तुमसे सीख जाए
देर से ही मिलने आना और फिर जल्दी भी जाना
इस तरह हमको सताना कोई तुमसे सीख जाए
ये समझ आता नहीं है क्या करें अब क्या कहें हम
अपनी बातों में फ़साना कोई तुमसे सीख जाए
बोलते हैं लोग सब तोयेश को ये आज कल से
ग़म में भी यूँ मुस्कुराना कोई तुमसे सीख जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Toyesh prakash
our suggestion based on Toyesh prakash
As you were reading Naqab Shayari Shayari