baahar baahar sannaata hai andar andar shor bahut | बाहर बाहर सन्नाटा है अंदर अंदर शोर बहुत

  - Umar Ansari

baahar baahar sannaata hai andar andar shor bahut
dil ki ghani basti mein yaaro aan base hain chor bahut

yaad ab us ki aa na sakegi soch ke ye baithe the ki bas
khul gaye dil ke saare dariche tha jo hawa ka zor bahut

maujen hi patwaar banengi toofaan paar lagaayega
dariya ke hain bas do saahil kashti ke hain chor bahut

main bhi apni jhonk mein tha kuchh vo bhi apne zoom mein tha
hoti bhi hai kuchh mere yaaro pyaar ki kuchh dor bahut

fasl-e-khizaan to sah li lekin mausam-e-gul mein toot giri
bojh falon ka sah nahin paai shaakh ki thi kamzor bahut

dil se utha toofaan ye kaisa saare manzar doob gaye
warna abhi to is jungle mein naach rahe the mor bahut

barson baad mila hai mauqa aao laga len kashti paar
aaj to yaaro sannaata hai dariya ke us or bahut

aaj yaqeenan meh barsega aaj giregi barq zaroor
ankhiyaan bhi pur-shor bahut hain kajraa bhi ghanghor bahut

kis se kis ka saathi chhoota kis ka umar kya haal hua
parbat parbat waadi waadi raat macha tha shor bahut

बाहर बाहर सन्नाटा है अंदर अंदर शोर बहुत
दिल की घनी बस्ती में यारो आन बसे हैं चोर बहुत

याद अब उस की आ न सकेगी सोच के ये बैठे थे कि बस
खुल गए दिल के सारे दरीचे था जो हवा का ज़ोर बहुत

मौजें ही पतवार बनेंगी तूफ़ाँ पार लगाएगा
दरिया के हैं बस दो साहिल कश्ती के हैं छोर बहुत

मैं भी अपनी झोंक में था कुछ वो भी अपने ज़ोम में था
होती भी है कुछ मिरे यारो प्यार की कुछ डोर बहुत

फ़स्ल-ए-ख़िज़ाँ तो सह ली लेकिन मौसम-ए-गुल में टूट गिरी
बोझ फलों का सह नहीं पाई शाख़ कि थी कमज़ोर बहुत

दिल से उठा तूफ़ान ये कैसा सारे मंज़र डूब गए
वर्ना अभी तो इस जंगल में नाच रहे थे मोर बहुत

बरसों बाद मिला है मौक़ा आओ लगा लें कश्ती पार
आज तो यारो सन्नाटा है दरिया के उस ओर बहुत

आज यक़ीनन मेंह बरसेगा आज गिरेगी बर्क़ ज़रूर
अँखियाँ भी पुर-शोर बहुत हैं कजरा भी घनघोर बहुत

किस से किस का साथी छूटा किस का 'उमर' क्या हाल हुआ
पर्बत पर्बत वादी वादी रात मचा था शोर बहुत

  - Umar Ansari

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umar Ansari

As you were reading Shayari by Umar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Umar Ansari

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari