mujhe mehmaan hi jaano raat bhar ka | मुझे मेहमाँ ही जानो रात भर का

  - Umar Ansari

mujhe mehmaan hi jaano raat bhar ka
diya hoon doston mein raahguzaar ka

sunaau kya ki toolani bahut hai
fasana meri umr-e-mukhtasar ka

chalen kah do hawaon se sambhal ke
bhara rakha hai saaghar chashm-e-tar ka

chale jo dhoop mein manzil thi un ki
hamein to kha gaya saaya shajar ka

hataaye kuchh to patthar thokron ne
hua to saaf kuchh rasta safar ka

jise duniya ne bas aansu hi jaana
farastaada tha ik dil ke nagar ka

ghamon mein kis ko main hansna sikhaaoon
mile bhi qadr-daan koi hunar ka

yahan to faateh-e-aalam wahi hai
badalna jis ko aa jaaye nazar ka

nifaq-e-baahmi hai jo abhi tak
khada hai raasta roke umar ka

मुझे मेहमाँ ही जानो रात भर का
दिया हूँ दोस्तों में रहगुज़र का

सुनाऊँ क्या कि तूलानी बहुत है
फ़साना मेरी उम्र-ए-मुख़्तसर का

चलें कह दो हवाओं से सँभल के
भरा रक्खा है साग़र चश्म-ए-तर का

चले जो धूप में मंज़िल थी उन की
हमें तो खा गया साया शजर का

हटाए कुछ तो पत्थर ठोकरों ने
हुआ तो साफ़ कुछ रस्ता सफ़र का

जिसे दुनिया ने बस आँसू ही जाना
फ़रस्तादा था इक दिल के नगर का

ग़मों में किस को मैं हँसना सिखाऊँ
मिले भी क़द्र-दाँ कोई हुनर का

यहाँ तो फ़ातेह-ए-आलम वही है
बदलना जिस को आ जाए नज़र का

निफ़ाक़-ए-बाहमी है जो अभी तक
खड़ा है रास्ता रोके 'उमर' का

  - Umar Ansari

Attitude Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umar Ansari

As you were reading Shayari by Umar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Umar Ansari

Similar Moods

As you were reading Attitude Shayari Shayari