hain saare jurm jab apne hisaab mein likhna
sawaal ye hai ki phir kya jawaab mein likhna
bura sahi main p niyat buri nahin meri
mere gunaah bhi kaar-e-sawaab mein likhna
raha saha bhi sahaara na toot jaaye kahi
na aisi baat koi iztiraab mein likhna
ye ittifaq ki maanga tha un se jin ka jawaab
vo baatein bhool gaye vo jawaab mein likhna
hawa-mahal mein sajaaya tha tum ne jab darbaar
koi gareeb bhi aaya tha khwaab mein likhna
na bhoolna ki umar hain ye doston ke hisaab
kabhi na padhna jo dil ki kitaab mein likhna
हैं सारे जुर्म जब अपने हिसाब में लिखना
सवाल ये है कि फिर क्या जवाब में लिखना
बुरा सही मैं प नीयत बुरी नहीं मेरी
मिरे गुनाह भी कार-ए-सवाब में लिखना
रहा सहा भी सहारा न टूट जाए कहीं
न ऐसी बात कोई इज़्तिराब में लिखना
ये इत्तिफ़ाक़ कि माँगा था उन से जिन का जवाब
वो बातें भूल गए वो जवाब में लिखना
हवा-महल में सजाया था तुम ने जब दरबार
कोई ग़रीब भी आया था ख़्वाब में लिखना
न भूलना कि 'उमर' हैं ये दोस्तों के हिसाब
कभी न पढ़ना जो दिल की किताब में लिखना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Umar Ansari
our suggestion based on Umar Ansari
As you were reading Kitab Shayari Shayari