lad jaate hain saroon pe machalti qaza se bhi
darte nahin charaagh hamaare hawa se bhi
barson rahe hain raqs-kunaan jis zameen par
pahchaanti nahin hamein aawaaz-e-paa se bhi
ab is ko iltifaat kahoon main ki be-rukhi
kuchh kuchh hain meherbaan se bhi kuchh kuchh khafa se bhi
chhup kar na rah sakega vo ham se ki us ko ham
pehchaan lenge us ki kisi ik ada se bhi
dil kaanp kaanp uthata hai azm-e-gunaah par
mil jaati hai saza hamein pehle khata se bhi
akshar hua hai ye ki khud apni talash mein
aage nikal gaye hain had-e-maa-sivaa se bhi
लड़ जाते हैं सरों पे मचलती क़ज़ा से भी
डरते नहीं चराग़ हमारे हवा से भी
बरसों रहे हैं रक़्स-कुनाँ जिस ज़मीन पर
पहचानती नहीं हमें आवाज़-ए-पा से भी
अब इस को इल्तिफ़ात कहूँ मैं कि बे-रुख़ी
कुछ कुछ हैं मेहरबाँ से भी कुछ कुछ ख़फ़ा से भी
छुप कर न रह सकेगा वो हम से कि उस को हम
पहचान लेंगे उस की किसी इक अदा से भी
दिल काँप काँप उठता है अज़्म-ए-गुनाह पर
मिल जाती है सज़ा हमें पहले ख़ता से भी
अक्सर हुआ है ये कि ख़ुद अपनी तलाश में
आगे निकल गए हैं हद-ए-मा-सिवा से भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Umar Ansari
our suggestion based on Umar Ansari
As you were reading Hawa Shayari Shayari