jis aaine mein bhi jhaanka nazar usi se mili
mujhe to apni bhi yaaro khabar usi se mili
badal badal ke chala samt o raahguzaar bhi magar
vo ik maqaam ki har raahguzaar usi se mili
ham aise koi hunar-mand bhi na the phir bhi
vo qadr-daan tha ki daad-e-hunar usi se mili
vo kaun hain jo banaate hain apni duniya khud
hamein to rone ko bhi chashm-e-tar usi se mili
ajab tha shakhs jo firta tha khud bana talwaar
chali jo teg to mujh ko sipar usi se mili
qadam qadam pe the raaste mein mah-vasho_n ke hujoom
mili kisi se to ja kar nazar usi se mili
na kisht-zaaron mein dekha jise na baagon mein
har ek fasl magar fasl par usi se mili
tamaam umr gurezaan raha tha jis se main
qadam lahd mein jo rakhe kamar usi se mili
baseerat-e-nigah-o-dil padi nahin milti
mili jise bhi ye daulat umar usi se mili
जिस आईने में भी झाँका नज़र उसी से मिली
मुझे तो अपनी भी यारो ख़बर उसी से मिली
बदल बदल के चला सम्त ओ रहगुज़र भी मगर
वो इक मक़ाम कि हर रहगुज़र उसी से मिली
हम ऐसे कोई हुनर-मंद भी न थे फिर भी
वो क़द्र-दाँ था कि दाद-ए-हुनर उसी से मिली
वो कौन हैं जो बनाते हैं अपनी दुनिया ख़ुद
हमें तो रोने को भी चश्म-ए-तर उसी से मिली
अजब था शख़्स जो फिरता था ख़ुद बना तलवार
चली जो तेग़ तो मुझ को सिपर उसी से मिली
क़दम क़दम पे थे रस्ते में मह-वशों के हुजूम
मिली किसी से तो जा कर नज़र उसी से मिली
न किश्त-ज़ारों में देखा जिसे न बाग़ों में
हर एक फ़स्ल मगर फ़स्ल पर उसी से मिली
तमाम उम्र गुरेज़ाँ रहा था जिस से मैं
क़दम लहद में जो रक्खे कमर उसी से मिली
बसीरत-ए-निगह-ओ-दिल पड़ी नहीं मिलती
मिली जिसे भी ये दौलत 'उमर' उसी से मिली
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Umar Ansari
our suggestion based on Umar Ansari
As you were reading Ishaara Shayari Shayari