har ik ka dard usi aashufta-sar mein tanhaa tha
vo ek shakhs jo saare nagar mein tanhaa tha
vo aadmi bhi jise jaan-e-anjuman kahiye
chala jab uth ke to saare safar mein tanhaa tha
jo teer aaya gale mil ke dil se laut gaya
vo apne fan mein main apne hunar mein tanhaa tha
us ik diye se hue kis qadar diye raushan
vo ik diya jo kabhi baam-o-dar mein tanhaa tha
suna hai loot gaya kal raat raaste mein kahi
jo ek rah-guzari raahguzaar mein tanhaa tha
utha ye shor wahin se sadaaon ka kyoon-kar
vo aadmi to suna apne ghar mein tanhaa tha
har ik mein koi kami thi har ik mein tha koi aib
dhula hua wahin bas aab-e-zar mein tanhaa tha
na pa saka kabhi ta-umr lutf-e-tanhaai
umar jo saare jahaan ki nazar mein tanhaa tha
हर इक का दर्द उसी आशुफ़्ता-सर में तन्हा था
वो एक शख़्स जो सारे नगर में तन्हा था
वो आदमी भी जिसे जान-ए-अंजुमन कहिए
चला जब उठ के तो सारे सफ़र में तन्हा था
जो तीर आया गले मिल के दिल से लौट गया
वो अपने फ़न में मैं अपने हुनर में तन्हा था
उस इक दिए से हुए किस क़दर दिए रौशन
वो इक दिया जो कभी बाम-ओ-दर में तन्हा था
सुना है लुट गया कल रात रास्ते में कहीं
जो एक रह-गुज़री रहगुज़र में तन्हा था
उठा ये शोर वहीं से सदाओं का क्यूँ-कर
वो आदमी तो सुना अपने घर में तन्हा था
हर इक में कोई कमी थी हर इक में था कोई ऐब
धुला हुआ वही बस आब-ए-ज़र में तन्हा था
न पा सका कभी ता-उम्र लुत्फ़-ए-तन्हाई
उमर जो सारे जहाँ की नज़र में तन्हा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Umar Ansari
our suggestion based on Umar Ansari
As you were reading Dard Shayari Shayari