hijr de kar na aazma mujh ko
chand lamhe tu kar ata mujh ko
teergi aankh se mitaani hai
raushni aa gale laga mujh ko
mere hone se tera hona ho
apne pahluu mein yun bitha mujh ko
tera aana bhi ek ne'mat hai
jaise rahmat ne aa liya mujh ko
main dua ban ke arsh tak pahunchu
apne honton pe yun saja mujh ko
phir nigaahen badal gaeein teri
phir adhoora sa kar diya mujh ko
main ne us ko parakh liya ushbaa
koi khatka nahin raha mujh ko
हिज्र दे कर न आज़मा मुझ को
चंद लम्हे तू कर अता मुझ को
तीरगी आँख से मिटानी है
रौशनी आ गले लगा मुझ को
मेरे होने से तेरा होना हो
अपने पहलू में यूँ बिठा मुझ को
तेरा आना भी एक ने'मत है
जैसे रहमत ने आ लिया मुझ को
मैं दुआ बन के अर्श तक पहुँचूँ
अपने होंटों पे यूँ सजा मुझ को
फिर निगाहें बदल गईं तेरी
फिर अधूरा सा कर दिया मुझ को
मैं ने उस को परख लिया 'उश्बा'
कोई खटका नहीं रहा मुझ को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ushba Tabeer
our suggestion based on Ushba Tabeer
As you were reading Aankhein Shayari Shayari