bhale logon mein hoon to main bhali hoon
agarche main zara si sar-firi hoon
badan sandal sa hota ja raha hai
tiri khushboo mein jaanaan dhal rahi hoon
mohabbat ke samundar mein utar kar
tiri ulfat ke gauhar chun chuki hoon
meri parvaaz hai teri badaulat
main chaahat ke ufuq par ud rahi hoon
fisal sakti hoon tere haath se main
mujhe kas kar pakadna jal-paree hoon
wafaon ke shajar se toot kar main
tire daaman mein aa kar gir padi hoon
gulaabon ne meri surkhi chura li
chaman mein har taraf main khil rahi hoon
meri khushboo chameli le udri hai
hawa mein itr ban kar ghoomti hoon
agarche narm-o-naazuk hoon main ushbaa
tabeeyat ki zara si manchali hoon
भले लोगों में हूँ तो मैं भली हूँ
अगरचे मैं ज़रा सी सर-फिरी हूँ
बदन संदल सा होता जा रहा है
तिरी ख़ुशबू में जानाँ ढल रही हूँ
मोहब्बत के समुंदर में उतर कर
तिरी उल्फ़त के गौहर चुन चुकी हूँ
मिरी परवाज़ है तेरी बदौलत
मैं चाहत के उफ़ुक़ पर उड़ रही हूँ
फिसल सकती हूँ तेरे हाथ से मैं
मुझे कस कर पकड़ना जल-परी हूँ
वफ़ाओं के शजर से टूट कर मैं
तिरे दामन में आ कर गिर पड़ी हूँ
गुलाबों ने मिरी सुर्ख़ी चुरा ली
चमन में हर तरफ़ मैं खिल रही हूँ
मिरी ख़ुशबू चमेली ले उड़ी है
हवा में इत्र बन कर घूमती हूँ
अगरचे नर्म-ओ-नाज़ुक हूँ मैं 'उश्बा'
तबीअत की ज़रा सी मंचली हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ushba Tabeer
our suggestion based on Ushba Tabeer
As you were reading Ulfat Shayari Shayari