har ghazal khwaab ki soorat mein dhali lagti hai
tere ehsaas mein bhi jaadugari lagti hai
muddaton baad ye saawan ko bhala kya soojhi
meri aankhon mein to har roz jhadi lagti hai
ishq mein ho gai deewaanon si haalat meri
maut har-waqt mere sar pe khadi lagti hai
husn-e-ta'beer meri aankh mein utara kaise
tu koi hoor hai ya koi pari lagti hai
dhadkanein raqs mein zanjeer-zani karti hain
ab ki jazbaat mein shorida-sari lagti hai
bhar diya main ne taghazzul mein sabhi rangon ko
teri tasveer nigaahon mein basi lagti hai
baj rahi hai koi paazeb fazaa mein shaayad
chaand taaron pe koi shokh chadhi lagti hai
dil hai ik dasht ki maanind tumhaara ushbaa
tabhi qismat mein sada tishna-labi lagti hai
हर ग़ज़ल ख़्वाब की सूरत में ढली लगती है
तेरे एहसास में भी जादूगरी लगती है
मुद्दतों बाद ये सावन को भला क्या सूझी
मेरी आँखों में तो हर रोज़ झड़ी लगती है
इश्क़ में हो गई दीवानों सी हालत मेरी
मौत हर-वक़्त मिरे सर पे खड़ी लगती है
हुस्न-ए-ता'बीर मिरी आँख में उतरा कैसे
तू कोई हूर है या कोई परी लगती है
धड़कनें रक़्स में ज़ंजीर-ज़नी करती हैं
अब कि जज़्बात में शोरीदा-सरी लगती है
भर दिया मैं ने तग़ज़्ज़ुल में सभी रंगों को
तेरी तस्वीर निगाहों में बसी लगती है
बज रही है कोई पाज़ेब फ़ज़ा में शायद
चाँद तारों पे कोई शोख़ चढ़ी लगती है
दिल है इक दश्त की मानिंद तुम्हारा 'उश्बा'
तभी क़िस्मत में सदा तिश्ना-लबी लगती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ushba Tabeer
our suggestion based on Ushba Tabeer
As you were reading Hadsa Shayari Shayari