samajh na paai ki kya be-mahaar chahta tha
ajeeb shakhs tha khud se firaar chahta tha
vo meri arz bhi hukman shumaar karne laga
vo har tarah se mera e'tibaar chahta tha
use qubool thi vaise to meri majboori
magar vo mujh pe zara ikhtiyaar chahta tha
jawaan dilon ke maraahil to tay kiye saare
magar vo vasl mein kuchh intizaar chahta tha
tamaaniyat na mili mujh ko phir kisi soorat
ki mera dil bhi to hona figaar chahta tha
kabhi na ashk bahaaogi mujh se wa'da karo
vo pyaar mein bhi faqat iqtidaar chahta tha
bas ik ana thi ki jis ne dubo diya us ko
magar vo phir bhi usi ka hisaar chahta tha
tamaam sharton pe sar ko hai kham kiya main ne
ki ishq dard ka ik kohsaar chahta tha
sabhi charaagh-e-mohabbat bujha diye us ne
ki vo hawa pe bhi hona sawaar chahta tha
vo thak gaya tha mohabbat ki aarzoo karte
bichhad ke mujh se vo shaayad qaraar chahta tha
ye dastaan bhi usi shakhs ne likhi ushbaa
taveel qisse mein jo ikhtisaar chahta tha
समझ न पाई कि क्या बे-महार चाहता था
अजीब शख़्स था ख़ुद से फ़रार चाहता था
वो मेरी अर्ज़ भी हुकमन शुमार करने लगा
वो हर तरह से मिरा ए'तिबार चाहता था
उसे क़ुबूल थी वैसे तो मेरी मजबूरी
मगर वो मुझ पे ज़रा इख़्तियार चाहता था
जवाँ दिलों के मराहिल तो तय किए सारे
मगर वो वस्ल में कुछ इंतिज़ार चाहता था
तमानियत न मिली मुझ को फिर किसी सूरत
कि मेरा दिल भी तो होना फ़िगार चाहता था
कभी न अश्क बहाओगी मुझ से वा'दा करो
वो प्यार में भी फ़क़त इक़्तिदार चाहता था
बस इक अना थी कि जिस ने डुबो दिया उस को
मगर वो फिर भी उसी का हिसार चाहता था
तमाम शर्तों पे सर को है ख़म किया मैं ने
कि इश्क़ दर्द का इक कोहसार चाहता था
सभी चराग़-ए-मोहब्बत बुझा दिए उस ने
कि वो हवा पे भी होना सवार चाहता था
वो थक गया था मोहब्बत की आरज़ू करते
बिछड़ के मुझ से वो शायद क़रार चाहता था
ये दास्ताँ भी उसी शख़्स ने लिखी 'उश्बा'
तवील क़िस्से में जो इख़्तिसार चाहता था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ushba Tabeer
our suggestion based on Ushba Tabeer
As you were reading Charagh Shayari Shayari