nahin hongi kabhi phir aabdaida
karungi vasvason ko sar-bureeda
mukhalif hain pas-e-deewaar mere
sar-e-mahfil jo padhte hain qaseeda
uthaaungi hazaaron bojh tanhaa
bhale haalaat jitne hon kasheeda
masaib se hui hai jaan-khalaasi
magar ye dil hai kyun itna kabeeda
chalo ab alvida'a kahte hain tum ko
amal ye hai agarche jaan-gazeeda
sukoon doongi main tere zehn-o-dil ko
suna kar apni ghazlein cheeda cheeda
zamaane bhar ki ne'mat us ne paai
mile hain jis ko ausaaf-e-hameeda
rafoo-gar dhundh laaye koi ushbaa
liye firte hain ham daaman-dareeda
नहीं होंगी कभी फिर आबदीदा
करूँगी वसवसों को सर-बुरीदा
मुख़ालिफ़ हैं पस-ए-दीवार मेरे
सर-ए-महफ़िल जो पढ़ते हैं क़सीदा
उठाऊँगी हज़ारों बोझ तन्हा
भले हालात जितने हों कशीदा
मसाइब से हुई है जाँ-ख़लासी
मगर ये दिल है क्यों इतना कबीदा
चलो अब अलविदा'अ कहते हैं तुम को
अमल ये है अगरचे जाँ-गज़ीदा
सुकूँ दूँगी मैं तेरे ज़ेहन-ओ-दिल को
सुना कर अपनी ग़ज़लें चीदा चीदा
ज़माने भर की ने'मत उस ने पाई
मिले हैं जिस को औसाफ़-ए-हमीदा
रफ़ू-गर ढूँड लाए कोई 'उश्बा'
लिए फिरते हैं हम दामन-दरीदा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ushba Tabeer
our suggestion based on Ushba Tabeer
As you were reading Peace Shayari Shayari