uljhnon par uljhane khaljaan hai khaljaan par | उलझनों पर उलझनें ख़लजान है ख़लजान पर

  - Ushba Tabeer

uljhnon par uljhane khaljaan hai khaljaan par
aah kitni aafatein hain hazrat-e-insaan par

kaam phir karti nahin hai mantiq-o-tadbeer kuchh
parda jab pad jaaye teri aql ki shiryaan par

dil adavat se bhare hain par zabaan sheerin-sukhan
is liye kudhta hai dil ikhlaas ke fuqdaan par

dhool saari umr phir vo chaatta firta rahe
mo'tariz ho jaaye jab insaan hi vijdaan par

gasb kar jaate hain akshar haq kisi maasoom ka
log mitti daalte hain is tarah eimaan par

haal mein rah kar bhi rishta rakhte hain maazi ke saath
rashk aashiq is qadar karte hain har nuksaan par

kyun basaarat ki zameen banjar ki banjar rah gai
dukh hai teri zaat par tuf hai tiri pehchaan par

parbaton par bhi agar rakh do to jhuk jaayenge vo
aise aise dard bhi jhele hain ham ne jaan par

aaj ushbaa log meri baat kyun sunte nahin
khud ko kosoon ya ki rooun aise kaj-azhaan par

उलझनों पर उलझनें ख़लजान है ख़लजान पर
आह कितनी आफ़तें हैं हज़रत-ए-इंसान पर

काम फिर करती नहीं है मंतिक़-ओ-तदबीर कुछ
पर्दा जब पड़ जाए तेरी अक़्ल की शिरयान पर

दिल अदावत से भरे हैं पर ज़बाँ शीरीं-सुख़न
इस लिए कुढ़ता है दिल इख़्लास के फ़ुक़्दान पर

धूल सारी उम्र फिर वो चाटता फिरता रहे
मो'तरिज़ हो जाए जब इंसान ही विज्दान पर

ग़स्ब कर जाते हैं अक्सर हक़ किसी मासूम का
लोग मिट्टी डालते हैं इस तरह ईमान पर

हाल में रह कर भी रिश्ता रखते हैं माज़ी के साथ
रश्क आशिक़ इस क़दर करते हैं हर नुक़सान पर

क्यों बसारत की ज़मीं बंजर की बंजर रह गई
दुख है तेरी ज़ात पर तुफ़ है तिरी पहचान पर

पर्बतों पर भी अगर रख दो तो झुक जाएँगे वो
ऐसे ऐसे दर्द भी झेले हैं हम ने जान पर

आज 'उश्बा' लोग मेरी बात क्यों सुनते नहीं
ख़ुद को कोसूँ या कि रोऊँ ऐसे कज-अज़हान पर

  - Ushba Tabeer

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ushba Tabeer

As you were reading Shayari by Ushba Tabeer

Similar Writers

our suggestion based on Ushba Tabeer

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari