ujad ke ghar se sar-e-raah aa ke baithe hain | उजड़ के घर से सर-ए-राह आ के बैठे हैं

  - Varis Kirmani

ujad ke ghar se sar-e-raah aa ke baithe hain
ham apni zid mein sabhi kuchh ganwa ke baithe hain

kahaan tak apni hi parchaaiyon se bhagenge
ye log jo tiri mehfil mein aa ke baithe hain

ab aah-o-zaari-e-gham-khwaar ka fareb khula
ye meherbaan bhi wahin dil laga ke baithe hain

azaab-e-hashr ka kya zikr ham se ai wa'iz
ham is bala ko yahin aazma ke baithe hain

उजड़ के घर से सर-ए-राह आ के बैठे हैं
हम अपनी ज़िद में सभी कुछ गँवा के बैठे हैं

कहाँ तक अपनी ही परछाइयों से भागेंगे
ये लोग जो तिरी महफ़िल में आ के बैठे हैं

अब आह-ओ-ज़ारी-ए-ग़म-ख़्वार का फ़रेब खुला
ये मेहरबाँ भी वहीं दिल लगा के बैठे हैं

अज़ाब-ए-हश्र का क्या ज़िक्र हम से ऐ वाइ'ज़
हम इस बला को यहीं आज़मा के बैठे हैं

  - Varis Kirmani

Dhokha Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Varis Kirmani

As you were reading Shayari by Varis Kirmani

Similar Writers

our suggestion based on Varis Kirmani

Similar Moods

As you were reading Dhokha Shayari Shayari