bhale na jald ho taakheer se muhabbat ho
magar jo ho to kisi heer se muhabbat ho
phir uske paanv ko bhaate nahin hain ghunghroo bhi
vo jiske paanv ko zanjeer se muhabbat ho
kisi kamaan ki nazrein ho mere seene par
mere bhi dil ko kisi teer se muhabbat ho
vo raqs karte hue maqtalon ko badhte hain
ki jinko yaar ki shamsheer se muhabbat ho
khuda kare ke tujhe aib shayari ka lage
tujhe bhi meer taqi meer se muhabbat ho
vo aankh sone ki deewaar dekhti hi nahin
ki jisko aapki tasveer se muhabbat ho
भले न जल्द हो ताख़ीर से मुहब्बत हो
मगर जो हो तो किसी हीर से मुहब्बत हो
फिर उसके पाँव को भाते नहीं हैं घुंघरू भी
वो जिसके पाँव को ज़ंजीर से मुहब्बत हो
किसी कमान की नज़रें हो मेरे सीने पर
मिरे भी दिल को किसी तीर से मुहब्बत हो
वो रक़्स करते हुए मक़्तलों को बढते हैं
कि जिनको यार की शमशीर से मुहब्बत हो
ख़ुदा करे के तुझे ऐब शायरी का लगे
तुझे भी "मीर तक़ी मीर" से मुहब्बत हो
वो आँख सोने की दीवार देखती ही नहीं
कि जिसको आपकी तस्वीर से मुहब्बत हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Varun Anand
our suggestion based on Varun Anand
As you were reading Nazar Shayari Shayari