kaun hai jo mujhe sulaaye ab | कौन है जो मुझे सुलाए अब

  - Vaseem 'Haidar'

kaun hai jo mujhe sulaaye ab
ye mohabbat meri nibhaaye ab

aas koi nahin mujhe uski
kaun dil mein kali khilaaye ab

mera veeraan hai bahut hujra
kaun hujre ko phir sajaaye ab

main to barbaad ho raha hoon ab
ik dilaasa koi dilaae ab

maut ka muntazir bahut hoon main
zahar koi mujhe pilaaye ab

pehle hi maar daala logon ne
ye janaaza koi uthaaye ab

ab bura haal hai mera yaaron
mere ghar mein so kaun aaye ab

dil mein kiske rahoon kahaan ja kar
dil mein rahne ke hain kiraye ab

कौन है जो मुझे सुलाए अब
ये मोहब्बत मेरी निभाए अब

आस कोई नहीं मुझे उसकी
कौन दिल में कली खिलाए अब

मेरा वीरान है बहुत हुजरा
कौन हुजरे को फिर सजाए अब

मैं तो बरबाद हो रहा हूँ अब
इक दिलासा कोई दिलाए अब

मौत का मुंतज़िर बहुत हूँ मैं
ज़हर कोई मुझे पिलाए अब

पहले ही मार डाला लोगों ने
ये जनाज़ा कोई उठाए अब

अब बुरा हाल है मिरा यारों
मेरे घर में सो कौन आए अब

दिल में किसके रहूँ कहाँ जा कर
दिल में रहने के हैं किराए अब

  - Vaseem 'Haidar'

Jahar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading Jahar Shayari Shayari