ye zulm hai mujh पर,ye rabbaani nahin | ये ज़ुल्म है मुझ पर,ये रब्बानी नहीं - Vaseem 'Haidar'

ye zulm hai mujh पर,ye rabbaani nahin
jeene mein ab mujhko to aasaani nahin

daava vo karta hai mohabbat ka bahut
ye ishq uska yaaro roohani nahin

paani se mujhko jang to karne nahin
paani mein mujhko laash tairaani nahin

sab shayari achhi likhe ho jaun tum
yaa shaayaron ki aisi qurbaani nahin

meri ghazal aise hi sun lo yaaro ab
mujhko yahan meri ghazal gaani nahin

meri mohabbat pe bharosa to karo
meri niyat jaanaan ye shaitani nahin

usne mohabbat karke tanhaa chhodaa hai
fitrat pe uski mujhko hairaani nahin

ये ज़ुल्म है मुझ पर,ये रब्बानी नहीं
जीने में अब मुझको तो आसानी नहीं

दावा वो करता है मोहब्बत का बहुत
ये इश्क़ उसका यारो रूहानी नहीं

पानी से मुझको जंग तो करनी नहीं
पानी में मुझको लाश तैरानी नहीं

सब शायरी अच्छी लिखे हो जौन तुम
याँ शायरों की ऐसी क़ुर्बानी नहीं

मेरी ग़ज़ल ऐसे ही सुन लो यारो अब
मुझको यहाँ मेरी ग़ज़ल गानी नहीं

मेरी मोहब्बत पे भरोसा तो करो
मेरी नियत जानाँ ये शैतानी नहीं

उसने मोहब्बत करके तन्हा छोड़ा है
फ़ितरत पे उसकी मुझको हैरानी नहीं

- Vaseem 'Haidar'
3 Likes

Fasad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading Fasad Shayari Shayari