yahan chhod ke vo gaya hai mujhe | यहाँ छोड़ के वो गया है मुझे

  - Vaseem 'Haidar'

yahan chhod ke vo gaya hai mujhe
vo mushkil se yaaron mila hai mujhe

nahin koi dil mein mere aur hai
khilauna bana kar rakha hai mujhe

bulao use aur dikhlaao phir
ki haathon mein uske shifaa hai mujhe

mohabbat bahut ki thi maine use
so iski yahan ab saza hai mujhe

vo mera yahan kyun nahin ho saka
khuda se bahut ye gila hai mujhe

sharaabi nahin hoon magar hoon bahut
ye qaateel nazar ka nasha hai mujhe

यहाँ छोड़ के वो गया है मुझे
वो मुश्किल से यारों मिला है मुझे

नहीं कोई दिल में मिरे और है
खिलौना बना कर रखा है मुझे

बुलाओ उसे और दिखलाओ फिर
कि हाथों में उसके शिफ़ा है मुझे

मोहब्बत बहुत की थी मैंने उसे
सो इसकी यहाँ अब सज़ा है मुझे

वो मेरा यहाँ क्यूँ नहीं हो सका
ख़ुदा से बहुत ये गिला है मुझे

शराबी नहीं हूँ मगर हूँ बहुत
ये क़ातिल नज़र का नशा है मुझे

  - Vaseem 'Haidar'

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari