shab ki taarikee badhti hi jaaye | शब की तारीकी बढ़ती ही जाए - Ved Rahi

shab ki taarikee badhti hi jaaye
kaun aata hai zulf bikhraaye

jhilmilaaye sitaaron ke jhurmut
kis ki palkon pe ashk tharraaye

us ki jo baat hai niraali hai
dil-e-naadaan ko kaun samjhaaye

un ko bhule zamaana hota hai
ashk aankhon mein phir bhi bhar aaye

dam-b-khud saari kaayenaat hui
ham ne vo geet pyaar ke gaaye

शब की तारीकी बढ़ती ही जाए
कौन आता है ज़ुल्फ़ बिखराए

झिलमिलाए सितारों के झुरमुट
किस की पलकों पे अश्क थर्राए

उस की जो बात है निराली है
दिल-ए-नादाँ को कौन समझाए

उन को भूले ज़माना होता है
अश्क आँखों में फिर भी भर आए

दम-ब-ख़ुद सारी काएनात हुई
हम ने वो गीत प्यार के गाए

- Ved Rahi
0 Likes

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ved Rahi

As you were reading Shayari by Ved Rahi

Similar Writers

our suggestion based on Ved Rahi

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari