urvashi aasmaan se aa jaaye
koi arjun sa roop dikhlaaye
koi bas jaaye jo tasavvur mein
maut bhi zindagi se sharmaae
chaand bikhra raha hai kirnon ko
kaun aata hai sar ko nihudaae
baadlon ke sajeelay dole par
koi dulhan piya ke ghar jaaye
koi phir dil mein chutkiyaan le le
koi phir man ko aa ke behlaaye
उर्वशी आसमाँ से आ जाए
कोई अर्जुन सा रूप दिखलाए
कोई बस जाए जो तसव्वुर में
मौत भी ज़िंदगी से शरमाए
चाँद बिखरा रहा है किरनों को
कौन आता है सर को निहुड़ाए
बादलों के सजीले डोले पर
कोई दुल्हन पिया के घर जाए
कोई फिर दिल में चुटकियाँ ले ले
कोई फिर मन को आ के बहलाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ved Rahi
our suggestion based on Ved Rahi
As you were reading Death Shayari Shayari