jitne log shehar mein hain
ek musalsal dar mein hain
manzil peeche chhoot gai
phir bhi log safar mein hain
sirf mere qadmon ke nishaan
meri raahguzar mein hain
un se uttar kya poocha
prashn kai uttar mein hain
khair to hai vigyaan miyaan
kaafi din se ghar mein hain
जितने लोग शहर में हैं
एक मुसलसल डर में हैं
मंज़िल पीछे छूट गई
फिर भी लोग सफ़र में हैं
सिर्फ़ मिरे क़दमों के निशाँ
मेरी राहगुज़र में हैं
उन से उत्तर क्या पूछा
प्रश्न कई उत्तर में हैं
ख़ैर तो है 'विज्ञान' मियाँ
काफ़ी दिन से घर में हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vigyan Vrat
our suggestion based on Vigyan Vrat
As you were reading Wahshat Shayari Shayari